Jashn i da'imand jubili ka mah i anwar kawn hai?

Poet: Allama Nasir al-Din Nasir Hunzai

Jashn i da'imand jubili ka mah i anwar kawn hai?
Jis ko ham hiron men tolenge woh dil bar kawn hai?

Sar peh hai taj i imamat ilm goya Zu'l faqar
Rawnaq i takht i khilafat zib i minmbar kawn hai?

Nur i Haqq aya zamin par ta kih ho fazl u karam
Warnah is alam men aysa bandah parwar kawn hai?

Chawdah tabaqon ke nufus awr alam i arwah bhi
Dekhiye sajde men hain Allahu akbar kawn hai?

Bag i alam men tu woh gul hai jo murjhata nahin
Jalwah yi nur i Khuda'i! Tujh se barh kar kawn hai?

Aftab i nur hai ya Tur ki bijli hai tu
Kawn hai puchho zara yeh pak gawhar kawn hai?

Han Ali ab bhi Ali hai nur i batin dekh lo
Main bataun dosto is waqt Haydar kawn hai?

Shah i shahan i du alam Shah Karim i kar saz
Un se akram, un se afzal, un se bar tar kawn hai?

Pehle chandi ba'd men sone men Mawla tul gaya
Ab to hiron men tulega un ka ham sar kawn hai?

Khuld men hargiz nah jaun hashr ke din main kabhi
Gar tira dar chhor jaun mujh sa kafar kawn hai?

Pardah yi dil se sikhata hai mujhe tarz i gazal
Kiya bataun main tumhen is dil ke andar kawn hai?

Is jahan se us jahan tak sab marahil tai huwe
Ham ko Shah ki rah bari men aysa rah bar kawn hai?

Bazm i Shahi men Nasira tu kiyun khamosh hai?
Shi'r i rindanah suna tujh sa sukhan war kawn hai?

Listen on YouTube