Jis ghari Shah Ali janib-i maydan aya

Poet: Allama Nasir al-Din Nasir Hunzai

Jis ghari Shah Ali janib-i maydan aya
Mera dil kehne laga dekh kih Janan aya

Rasan-i nur-i Khuda silsilah-yi al-i Rasul
Shah Ali nam rakha phir Shah-i Mardan aya

Kasrat-i nur-i Khuda koi tasawwur nah kare
Nur-i yakta hai Ali bahr-i muridan aya

Gam-i dil dur huwa un ke tabassum se mujhe
Chaman-i al-i Nabi ka Gul-i khandan aya

Mahw-i didar huwe ahl-i haqiqat yaksar
Waris-i masnad-i din Alim-i Quran aya

Un ke qadamon se fida kash miri jan hoti!
Janib-i garb se ab Yusuf-i Kanan aya

Mit gai dil ki ana ab gam-i wahshat nah raha
Khanah-yi dil men mira Khizr hai mihman aya

Mast-u bi-khwud hain murid jam-i aqidat pi kar
Nur-i chashm-i Shah-i din Hazrat-i Sultan aya

Alam-i husn-u jawani ko musakhkhar kar ke
Shah-i khuban-i jahan Prince Aly S. Khan aya

Lazzat-i ishq men hai hikmat-i alam pinhan
Dard-i ulfat hai mujhe mayah-yi darman aya

Sar-i taslim-i Nasir khak peh tha bahr-i niyaz
Majlis-i khas men jab ashraf-i insan aya

Listen on YouTube