Main ne kal zahiran Ali dekha

Poet: Allama Nasir al-Din Nasir Hunzai

Main ne kal zahiran Ali dekha
Us khafi nur ko jali dekha

Woh Imam-i mubin-i al-i rasul
Qiblah-yi ashiqan-i ahl-i qabul

Sar jhuka kar garib ne salam kiya
Ansuwon ki zaban se kalam kiya

Ay sar tu sajdah kar kih tira farz sajdah hai
Inkar-i sajdah jis ne kiya woh to randah he

Ay ankh kahan hain tire ashkon ke woh gawhar
Ab Shah ke qadamon se karo unko nichhawar

Ay nar-i ishq tujh ko salam ho hazar bar
Tere karam se ashiq-i be-dil ko mil gaya qarar

Ham murdah the kih us ne hamen zindah kar diya
Chehre udas the kih tabindah kar diya

Nur-i rahmat ki sakht barish thi
Har tarah ki bari nawazish thi

Ham ko yeh ik nai hayat mili
Ilm-u hikmat ki kainat mili

Dast-i pur-nur men kamal-i mujizah hai
Khak ko chhu ke zarr banata hai sang ko woh guhar banata hai

Nur-i ishq-i Murtaza! Har lahzah ho tujh par salam
Bandagan-i na tamam tujh hi se hote hain tamam

Main hun Nasir-i khali woh hai Nasir-i mani
Main hun ghulam-u na-kas woh hai Imam-i aqdas

Listen on YouTube