Jalwah farma hai woh nihan u iyan

Poet: Allama Nasir al-Din Nasir Hunzai

Jalwah farma hai woh nihan u iyan
Us se khali nahin zaman u makan

Us ke anwar hain ajib u garib
Us ke asrar hain ajib u garib

Woh khafi bhi hai awr jali bhi hai
Woh wali bhi hai awr Ali bhi hai

Nur i arz u sama hai nur us ka
Kull i alam men hai zuhur us ka

Har tajalli hai us ki hayrat za
Har zamane men hai wohi yakta

Mera mahbub ism i azam hai
Zikr i akbar hai nur i aqdam hai

Woh alim u hakim, gafur u rahim
Woh malik u wadud u hayy u qadim

Tere ushshaq se fida hai Nasir
Teri dargah ka gada hai Nasir

Listen on YouTube